Saturday, February 15, 2014

Guru

Guru gyaan ka sagar hai,
guru sare grantho ki gaagar hai,
guru se har jeevan ka uddhar huaa,
guru se hi gyaan ka bhandar hua,
guru ki mahima ka paar nahi,
guru bin hota uddhar nahi,
guru se jeevan ko sanskar mila,
man ko mumta, sub ko pyar mila,
guru charno se hi to savarg ka dwaar mila,
jo guru ki mahima ko jaanega,
wo guru ko hi bhagwan manega

" Guru ki bhakti me wo shakti hai,
jo bin maangey sub dete hai,
guru guru ka hi bus dhayan karo,
ki uske charno me swarg ki ganga rehti hai "

Om Sai Ram " sab ka maalik ek "
munjo lal tunjo lal,
sai julai lal, sai julai lal

No comments:

Post a Comment