Saturday, February 15, 2014

Guru

Guru gyaan ka sagar hai,
guru sare grantho ki gaagar hai,
guru se har jeevan ka uddhar huaa,
guru se hi gyaan ka bhandar hua,
guru ki mahima ka paar nahi,
guru bin hota uddhar nahi,
guru se jeevan ko sanskar mila,
man ko mumta, sub ko pyar mila,
guru charno se hi to savarg ka dwaar mila,
jo guru ki mahima ko jaanega,
wo guru ko hi bhagwan manega

" Guru ki bhakti me wo shakti hai,
jo bin maangey sub dete hai,
guru guru ka hi bus dhayan karo,
ki uske charno me swarg ki ganga rehti hai "

Om Sai Ram " sab ka maalik ek "
munjo lal tunjo lal,
sai julai lal, sai julai lal

Aap aur aapki dosti

Aap wo hain,
jiske dil me umang hai,
jo sub ki zindagi me bharte rang hain,
jis ka zindagi jeene ka ek apna hi dhang hai,
jo har gum har khushi me humare sang hai,
jo apne hi maste me madhosh hai,
sapno ke sang hai,
jiski boli me bajte mridang hai,
jiske bina humari zindagi be-rang hai,
aapke hone se hi to dil ko sukun,
jeevan me umang hai,
duaa hai khuda se ki jab me rang hai,
tab-tak aap yun hi humare sang hain

" DOSTI HI PYAR KE SHURAAT HOTI HAI,
DO DOSTO ME KUCH AISI BAAT HOTI HAI,
KE BAATON HI BAATON ME DIL KI DIL SE MULAKAT HOTI HAI "

Pyaar ki talab

Hum roye, dil khoya, 
bura maan gaya rab bhi,
ki zamana soya or aasma roya,
zindagi ne apna sukun khoya,
jitna bhi karam kiya tha is khush-nasseb ne,
apne hi hato us bad-nasseb ne sab dhoya,
kyu bhatak  gaya har kaarwan,
kyu har waqt hai ye dil roya,
shayad mera mehboob bhi,
hai sharm ki chadar odh kar soya,
ha ha wo khush ho gaya pakar ke kise or ko,
per humne to hai humara sub kuch khoya,
ke naam leker ke mohabbat ka wo aaya tha kareeb or,
parivaar ke naam par hai hum ko khoya

" na kar-na itni mohabbat kisi se ki hoslaa toot jaye,
tham kar ke haat uska ghoomne ki khavish me,
zindagi se daaman choot jaye "

Ek paigaam mohabbat karne walo ke naam...

Ek paigaam mohabbat karne walo ke naam,
na lagana dil ki ye toot jata hai,
na thaamna daaman kisi ka ke woo choot jata hai,
na maan lena rab usko apna ki aaj kal to wo bhi rooth jata hai,
pyar karo aahein bharo,
kyunki aatmhatya karna ghuna hai mere dost,
to jaooo pyar karo tadap tadap ke roz thoda thoda maro.

Khuda ne khubsurti ko kamal diya hai...

Khuda ne khubsurti ko kamal diya hai,
us par ye saadgi ka aalam bemisaal diya hai,
aapko dil ka sukun or hum ko bura haal diya hai,
ya khuda,
ye humko kis musibat me tune daal diya hai,
har lamhaa dil ko ek savaal diya hai,
sadgi ka tohfa bhi unko behaal diya hai,
aakho me unki mohabbat ka jaal diya hai,
surat pe muskurahat ka rang lal diya hai,
kuch kahu na kahu tujhse ya mere rab,
tune mujko bhi uljhan me daal diya hai

" surat khoobsurat hai,
mukh-mandal par hasin zindagi ke zarurat hai,
aakho ke madhoshi roshni ke murat hai,
shayad isi liye aapki har dil ko zarurat hai "

Meri mohabbat ka aalam...

Meri mohabbat ka aalam,
mujhe madhosh kar raha hai,
wo aaj mujhe khawabo ki parchaayi se,
apni baho me bhar rahi hai,
ye dil hai ki khambakht thoda dar raha hai,
par maan hi maan us par mar raha hai,
ha ha wo bhi chahat ki aarzu liye,
us ka intezaar kar raha hai.

Tujhe yaad kar ab to rato ki neend bhi jane lagi hai...



Tujhe yaad kar ab to rato ki neend bhi jane lagi hai,
ha ha tu chupke chupke dil ke kareeb aane lagi hai,
dil ki in vaadiyo me mohabbat ki dhund banke,
tu chaane lagi hai,
ab kya karu tu hi bata,
ki tujh bin ghut-ta hai dum,
or jaan jane lagi hai.

Zayda sochna zaruri hai...

Zayda sochna zaruri hai,
zindagi thi or hoti bhi adhuri hai,
ishiliye na fikar karo, na kal se daro,
bus kalpana karo or apne kalam se usme rang bharo.

Maa

A zindagi dene wali,
me tera karz khabi nahi chuka paunga,
mujhe har janam tuhi mile bas yahi kuda se chahunga.